Thursday, January 20, 2011

MOHHABAT



Aksar tanhaie me hum ye socha karte hai,
Jane kyo hum mohhabat kiya karte hai.   
Ye eke aise zakhm hai jisse leke sub log leke jiya karte hai.
Dil gumo se bhare hote hai, phir bhi chehre pe muskaan liye phirte hai. 
Aksar tanhaie me hum ye …………………… 

Appni ausk chupane key liye,
na Jane wo kyo barish me chala karte hai. 
Chubhti hai yaadein dilo me,
phir bhi na jane kyo wo in yaado ke sahare jiya karte hai. 
Kahte hai mohhabat naam hai dard ka, 
to na jane kyo aksar is dard ko tanhaie me yaad karke roya karte hai.
Aksar tanhaie me hum ye…………………… 

Marte hai jisspe hum jaan se bhi  jada, 
wo he humesa hume dhoka diya karte hai. 
Jo khate hai kassme saath nibhane ka, 
na jane kyo wo humesa appni kassam bhoola diya karte hai. 
Unke aane ka her pal intjaar hai, 
shayad isleye her ahhat hone se hum chounk jaya karte hai. 
Aksar tanhaie me hum ye,,,,,,,,,,,,,,,,,,,,, 

Ek muddat se ho gaie unhe bhoolne ki koshis karte huae,
phir bhi na jane kyo mere sappno me aake mujhe sataya karte hai. 
Koshis to karte hum unhe bhoola dene ki, 
kaise rakkhe hum in yaado ko dur jo humesa mujhe tadpaya karte hai.
Koshis to bhout ki unhe appni dil se nikal ne ki,
phir bhi na jane kyo her baar ek dard se mere dil me utth jaya karti hai. 
Aksar tanhaie  me hum ye,,,,,,,,,,,,,,,,,,

No comments:

Post a Comment